Shri Sai Chalisa


|| Shri Sai Chalisa ||

Pehle Sai ke charan main, apna sheesh namaaun main,
Kaise Shirdi Sai aaye, saara haal sunaun main.

Kaun hai mata, pita kaun hai, yeh na kisi ne bhi jaana,
Kaha janam Sai ne dhara, prashan paheli raha bana.

Koyee kahe Ayodhya ke, yeh Ramchandra bhagvan hain,
Koyee kehta SaiBaba, pavan putra Hanuman hain.

Koyee kehta mangal murti, Shri Gajanan hain Sai,
Koyee kehta Gokul-Mohan Devki Nandan hain Sai.

Shanker samaj bhakta kayee to, Baba ko bhajhte rahte,
Koyee kahe avatar datta ka, pooja Sai ki karte.

Kuchha bhi maano unko tum, pur Sai hain sachche bhagvan,
Bade dayalu deen-bandhu, kitno ko diya jivan-daan.

Kayee baras pehle ki ghatna, tumhe sunaunga main baat,
Kisee bhagyashaali ki , Shirdi main aayee thi baraat.

Aaya saath usi ke tha, baalak aik bahut sunder,
Aaya aaker vahin bus gaya, paavan Shirdi kiya nagar.

Kayee dino tak raha bhatakta, bhiksha maangi usne dar dar,
Aur dikhaee aisee leela, jag main jo ho gayee amar.

Jaise-jaise umar badi, badti hee vaisy, gaee shaan,
Ghar ghar hone laga nagar main, Sai Baba kaa gungaan.

Dig digant main laga goonjane, phir to Saiji ka naam,
Deen-dhukhi ki raksha karna, yahi raha Baba ka kaam.

Baba ke charno main ja kar, jo kehta main hoo nirdhan,
Daya usee par hoti unkee, khul jaate dhukh ke bandhan.

Kabhi kisee ne maangi bhiksha, do Baba mujhko suntaan,
Avum astoo tava kaihkar Sai dete the usko vardaan.

Swayam dhukhi Baba ho jaate, deen-dukhijan ka lakh haal,
Anteh: karan shree Sai ka, sagar jaisa raha vishal.

Bhakta ek madrasi aaya, ghar ka bahut bada dhanvaan,
Maal khajana behadh uskaa, keval nahi rahi suntaan.

Laga manane Sainath ko, Baba mujh per daya karo,
Junjha se junkrit naiya ko, tum hee mairee par karo.

Kuldeepak ke bina andhera, chchaya hua ghar mein mere,
Isee liye aaya hoon Baba, hokar sharnagat tere.

Kuldeepak ke re abhav main, vyartha hai daulat ki maya,
Aaj bhikhari ban kar Baba, sharan tumhari main aaya,

De do mujhko putra-daan, main runi rahoonga jivan bhar,
Aur kisi ki aas na mujko, siraf bharosa hai tum par.

Anunaye-vinaye bahut ki usne, charano main dhar ke sheesh,
Tub prasana hokar Baba ne, diya bhakta ko yeh aashish.

'Allah bhala karega tera,' putra janam ho tere ghar,
Kripa rahegi tum per uski, aur tere uss balak per.

Ab tak nahi kisi ne payaa, Sai ki kripa ka paar,
Putra ratna de madrasi ko, dhanya kiya uska sansaar.

Tan-man se jo bhaje usi ka jug main hota hai uddhar,
Sanch ko aanch nahi haiy Koyee, sada jooth ki hoti haar.

Main hoon sada sahare uske, sada rahoonga uska daas,
Sai jaisa prabhu mila hai, itni ki kum haiy kya aash.

Mera bhi din tha ek aisa, miltee nahi mujhe thi roti,
Tan par kapda duur raha tha, sheish rahi nanhi si langoti,

Sarita sammukh hone par bhi main pyasa ka pyasa tha,
Durdin mera mere ooper, davagani barsata tha.

Dharti ke atirikt jagat main, mera kuch avalumbh na tha,
Bana bhikhari main duniya main, dar dar thokar khata tha.

Aise main ik mitra mila jo, param bhakt Sai ka tha,
Janjalon se mukta, magar iss, jagti main veh bhi mujh sa tha.

Baba ke darshan ke khatir, mil dono ne kiya vichaar,
Sai jaise daya murti ke darshan ko ho gaiye taiyar.

Paavan Shirdi nagari main ja kar, dhekhi matvaali murti,
Dhanya janam ho gaya ki humne jab dhekhi Sai ki surti.

Jabse kiye hai darshan humne, dukh sara kaphur ho gaya,
Sankat saare mite aur vipdaon ka ant ho gaya.

Maan aur sammaan mila, bhiksha main humko Baba se,
Prati bambit ho uthe jagat main, hum Sai ki abha se.

Baba ne sammaan diya haiy, maan diya is jivan main,
Iska hee sambal le main, hasta jaunga jivan main.

Sai ki leela ka mere, man par aisa assar huaa,
Lagta, jagti ke kan-kan main, jaise ho veh bhara huaa.

'Kashiram' Baba ka bhakt, iss Shirdi main rehta tha,
Maiy Sai ka Sai mera, veh duniya se kehta tha.

Seekar svayam vastra bechta, gram nagar bazaro main,
Jhankrit uski hridh-tantri thi, Sai ki jhankaron se.

Stabdh nisha thi, thay soye, rajni aanchal me chand sitare,
Nahi soojhta raha hath ka, hath timiri ke maare.

Vastra bech kar lote raha tha, hai! Haath se 'kaashi',
Vichitra bada sanyoga ki uss din aata tha veh akaki.

Gher raah main khade ho gaye, usse kutil, anyaayi,
Maaro kaato looto iski, hee dhvani pari sunayee.

Loot peet kar usse vahan se, kutil gaye champat ho,
Aaghaton se marmahat ho, usne di thi sangya kho.

Bahut der tak pada raha vaha, vahin usi halat main,
Jaane kab kuch hosh ho utha, usko kisi palak main.

Anjane hee uske muh se, nikal para tha Sai,
Jiski prati dhvani Shirdi main, Baba ko padi sunai.

Shubdh utha ho manas unka, Baba gaye vikal ho,
Lagta jaise ghatna sari, ghati unhi ke sanmukh ho.

Unmadi se idhar udhar tab, Baba lage bhatakne,
Sanmukh chizein jo bhi aiee, unkoo lage patkne.

Aur dhadhakte angaro main, Baba ne kar dala,
Huye sashankit sabhi vahan, lakh tandav nritya nirala.

Samajh gaye sab log ki koi, bhakt para sankat ain,
Shubit khade thai sabhi vahan par, pade huae vismaiye main.

Usse bachane ke hi khatir, Baba aaj vikal hai,
Uski hi piraa se pirit, unka ant sthal hai.

Itne me hi vidhi ne apni, vichitrata dhikhlayi,
Lakh kar jisko janta ki, shradha sarita lehrayee.

Lekar sanghya heen bhakt ko, gaadi ek vahan aayee,
Sanmukh apne dekh bhakt ko, Sai ki aankhe bhar aayee.

Shant, dheer, gambhir sindhu sa, Baba ka anthsthal,
Aaj na jane kyon reh-rehkar, ho jaata tha chanchal.

Aaj daya ki murti svayum tha bana hua upchaari,
Aur bhakt ke liye aaj tha, dev bana prati haari.

Aaj bhakti ki visham pariksha main, safal hua tha Kaashi,
Uske hee darshan ki khatir, thai umre nagar-nivasi.

Jab bhi aur jahan bhi koyee, bhakta pade sankat main,
Uski raksha karne Baba jate hai palbhar main.

Yuga yuga ka hai satya yeh, nahi koi nayee kahani,
Aapat grasta bhakt jab hota, jate khudh antar yami.

Bhedh bhaav se pare pujari manavta ke the Sai,
Jitne pyare Hindu-Muslim uutne hi Sikh isai.

Bhed bhaav mandir masjid ka tod phod Baba ne dala,
Ram rahim sabhi unke the, Krishan Karim Allah Tala.

Ghante ki pratidhvani se gunja, masjid ka kona kona,
Mile paraspar Hindu Muslim, pyar bada din din doona.

Chamatkar tha kitna sundar, parichaye iss kaya ne dee,
Aur neem karvahat main bhi mithaas Baba ne bhar dee.

Sabko sneha diya Sai ne, sabko suntul pyar kiya,
Jo kuch jisne bhi chaha, Baba ne usko vahi diya.

Aise sneha sheel bhajan ka, naam sada jo japa kare,
Parvat jaisa dhukh na kyoon ho, palbhar main veh door tare.

Sai jaisa daata humne, aare nahi dekha koi,
Jiske keval darshan se hee, saari vipda door gayee.

Tan main Sai, man main Sai, Sai Sai bhajha karo,
Apne tan ki sudh budh khokur, sudh uski tum kiya karo.

Jab tu apni sudh tajkur, Baba ki sudh kiya karega,
Aur raat din Baba, Baba, hi tu rata karega.

To Baba ko aare! vivash ho, sudhi teri leni hee hogi,
Teri har icha Baba ko, puree hee karni hogi.

Jungal jungal bhatak na pagal, aur dhundne Baba ko,
Ek jagah keval Shirdi main, tu paiga Baba ko.

Dhanya jagat main prani hai veh, jisne Baba ko paya,
Dukh main sukh main prahar aath ho, Sai ka hee gune gaya.

Giren sankat ke parvat, chahe bijli hi toot pare,
Sai ka le naam sada tum, sanmukh sub ke raho ade.

Iss budhe ki sunn karamat, tum ho javo ge hairaan,
Dung raha sunkar jisko, jane kitne chatur sujaan.

Ek baar Shirdi main sadhu dhongi tha koi aaya,
Bholi bhali nagar nivasi janta ko tha bharmaya.

Jari, butiyan unhe dhikha kar, karne laga vaha bhashan,
Kehne laga sunno shrotagan, ghar mera hai vrindavan.

Aushadhi mere paas ek hai, aur ajab iss main shakti,
Iske sevan karne se hi, ho jaati dukh se mukti.

Aggar mukta hona chaho tum, sankat se bimari se,
To hai mera numra nivedan, har nar se har nari se.

Lo kharid tum isko, sevan vidhiyan hai nyari,
Yadyapi tuch vastu hai yeh, gun uske hai atisheh bhari.

Jo hai suntaan heen yahen yadi, meri aushdhi ko khayen,
Putra ratan ho parapat, aare aur veh mooh manga phal paye.

Aushadh meri jo na kharide, jeevan bhar pachtayega,
Mujh jaisa prani shayad hi, aare yaha aa payega.

Duniya do din ka mela hai, mauj shaunk tum bhi kar lo,
Gar is se milta hai, sub kuch, tum bhi isko le lo.

Hairani badti janta ki, lakh iski kaarastaani,
Pramudit veh bhi man hi man tha, lakh logo ki nadani.

Khabar suna ne Baba ko yeh, gaya daud kar sevak ek,
Sun kar bhukuti tani aur, vismaran ho gaya sabhi vivek.

Hukum diya sevak ko, satvar pakad dusht ko lavo,
Ya Shirdi ki seema se, kapti ko duur bhagavo.

Mere rehte bholi bhali, Shirdi ki janta ko,
Kaun neech aisa jo, sahas karta hai chalne ko.

Palbhar mai hi aise dhongi, kapti neech lootere ko,
Maha naash ke maha gart main, phahuncha doon jivan bhar ko.

Tanik mila aabhaas madari, krur kutil anyayi ko,
Kaal nachta hai ab sir par, gussa aaya Sai ko.

Pal bhar main sab khel bandh kar, bhaga sir par rakh kar pairr,
Socha tha man hi man, bhagvan nahi hai ab khair.

Such hai Sai jaisa daani, mil na sakega jag main,
Ansh iish ka Sai Baba, unhe na kuch bhi mushkil jag main.

Sneh, sheel, sojanya, aadi ka abhushan dharan kar,
Badta iss duniya main jo bhi, manav sevaye path par.

Vahi jeet leta hai jagti, ke jan jan ka anthsthal,
Uski ek udasi hi jag, jana ko kar deti hai vivhal.

Jab jab jag main bhar paap ka bar bar ho jaata hai,
Usse mita ne ke hi khatir, avtari ho aata hai.

Paap aur anyaya sabhi kuch, iss jagti ka har ke,
Duur bhaga deta duniya ke danav ko shan bhar main.

Sneh sudha ki dhar barasne, lagti hai duniya main,
Gale paraspar milne lagte, jan jan hai aapas main.

Aisse hee avtari Sai, mrityulok main aakar,
Samta ka yeh paath padhaya, sabko apna aap mitakar.

Naam dwarka masjid ka , rakha Shirdi main Sai ne,
Daap taap, suntaap mitaya, jo kuch aaya Sai ne.

Sada yaad main mast ram ki, baithe rehte the Sai,
Peher aath hee raam naam ka, bhaite rehte the Sai.

Sookhee rookhee tazi baasi, chahe ya hovai pakvaan,
Sada pyar ke bhooke Sai ke, khatir the sabhi samaan.

Sneh aur shradha se apni, jan jo kuch de jaate the,
Bade chaav se uss bhojan ko, Baba paavan karte the.

Kabhi kabhi man behlane ko, Baba baag main jate the,
Pramudit man main nirukh prakrati, chatta ko veh hote the.

Rang-birange pushpa baag ke mand mand hil dul karke,
Bihau birane mana main bhi sneh salil bhar jate the.

Aise su-madhur bela main bhi, dukh aafat vipada kai maare,
Apne man ki vyatha sunane, jan rehte Baba ko ghere.

Sunkar jinki karun katha ko, nayan kamal bhar aate the,
De vibhuti har vyatha, shanti, unke uur main bhar dete the.

Jaane kya adhbut, shakti, uss vibhuti main hoti thi,
Jo dharan karke mastak par, dukh saara har leti thi.

Dhanya manuja veh sakshaat darshan, jo Baba Sai ke paye,
Dhanya kamal kar unke jinse, charan kamal veh parSai.

Kaash nirbhaiy tumko bhi, saakshat Sai mil jaata,
Barshon se ujra chaman apna, phir se aaj khil-jata.

Gar pakar main charan shri ke, nahi chorta umar bhar,
Mana leta main jaroor unko gar rooth te Sai mujh par.

|| Shri Sai Chalisa Video || 

1 comment:

  1. €nice work !
    If anyone want to Read chalisa, stotra ,baan etc. then you can visit here

    ReplyDelete